Teb-e-nabvi is a Islamic Blog. in which we show you all the treatments with the Quran or Hadis-e-nabvi, all our videos related to Islam and wazaif .We show you daily basis videos or Wazaif from Quran Shareef . The wazaif dose not require the any type of permission.

Treatment of Chest Pain in Ramzan | Ramzan Main Seenay ki Jalan ka Ilaj | Stomach ki Jalan Ka Ilaj |

Seene ki jalan hona bhi 1 aam baat hai aaj ka hamara khan paan bhi kuchh aisa hai ki tali chupdi aur murgan cheejen had se ziyadah istimaal karte hain jiski wajah se bhi tezabiyat seene ki jalan ho sakti hai magar fir bhi hamari ray yahi hai ki aisi koi probelm ho to Dr. se 1 baar jarur milen aur isko kabhi bhi halke mein na len kyunki heart burn & chest burn same ho sakta hai jisko janna kabhi dushwar bhi ho jata hai 


Seene Ki Jalan Ka Ilaj Seene mein Jalan Hone Ki Important Nishaniyan
  • seene ki haddi (bone) ke neeche jalan, sowzish ka ehsaas hona. 
  • seene ki jalan ki surat mein dard hona
  • Seene mein jalan ki shikayat ziyadatar khane ke baad mehsoos hoti hai.
  • sleep sone ki surat mein Heart Burn ki shiddat badh jati hai.
  • Antacid aur dawaon ( medicines) ke istemaal se dard me kuchh rahat mil jati hai jiski wajhah se dard door ho jata hai.Is takleef mein saans lene mein preshani , sir mein halka dard mehsoos hona, chakkar aana, thandda paseena aane ki shikayat hona etc wagairah ho to yeh samjhlen ki aapko finly burn chest yani seene ki jalan aur tezabiyat hai iske liye aap yeh nuskhe use karen insha allah aapko kafi had tak aaram milega 


(1) Seene Ki jalan Ka Ilaj agar ho sake to daily 1 kela (banana) din ke waqt khaliya karen isse bhi aapke seene ki jalan mein faidah hoga 
(2) Seene Ki jalan Ka Ilaj har 3 din mein isapgol 2_3 spoon pani ke sath faank len han khali isapgol munh mein chipak sakti hai isliye pehle munh mein thoda pani le fir faank len insha allah bahut kaamyab nuskha hai seene ki jalan ka 
(3)Seene Ki jalan Ka Ilaj hafte (weekly) mein 2 roze rakhen jismein sehri mein khana bahut kam khana hai aur roza 1 aisa hathyar hai ki bimariyun ko paas tak nahi aane deta hai isski ziyadah jaankari ke liye yahan padehn Kya Roza Bimar Karta Hai Dr. Special Report

(4)Seene Ki jalan Ka Ilaj tezabiyat ka behtreen ilaj yeh hai ki khira kakdi moli patun ke saath shaljam gajar chuqandar ki sabjiyan aur apple ko bina chhilka utare khaen warna chheelne se isska vitamans khatam hojate hain han achhi tarah se dhole bas yahi kafi hai 
(5) jalan ka khaas issue hota hai pani ki kami jab hamari body ko zarurat ka pani nahi milta hai to iski wajah se sirf seene ki jalan hi nahi balki bahut si bimariyan janam leleti hain to isska shandar ilaj yeh hai ki kam se kam 10_12 gilaas pani 24 hr mein jarur piyen isse bhi aapki  jalan khatm hogi 
(6) thande mashrubat pepsis and bahut ziyadah thanda pani achaar medeh se bani chijen pizza paranthe aur mithi dishen etc. se bachne aur khana jitna ho sake kam half hi khaen agarche aapki khawahish abhi baki hai magar haath ko rokne ki koshish karlijiye isse na sirf aapki seene ki jalan kam hogi balki aapki bahut si bimariyun ka ilaj hojaega aur aap 1 dam tari taza aur tandrust rahenge yeh nuskha agar aapne karliya to samjen ki 80% bimariyan aapke kareeb tak nahi aaegi insha allah 

Asthma Dama Ka Ilaj Seene Ki Jalan Ka Ilaj Kaise kare

http://www.aboutislam786.blogspot.com
Asthma [Damah] Ka Ilaj
(1) daily 3_5 Khujoor khakar uper se garam pani pilijiye isse balgam patla hokar nikal jaega aur damah ki takleef mein bahut madad karega insha allah 
(2) 3 Khushk (sukhi hui) anjeer doodh mein pakakar daily subah w shaam istemaal karen isse bhi balgam patla hokar nikal jaega aur damah ke mareez ko shifayabi milegi 
Agar damah ka hamla ho to yeh 3 tips bahut kamyab hai sehat ke liye jab bhi damah ki shikayat ho to Haldi aur soonth thoda sa shahad ke saath lelen foran damah ki shikayat door hogi 
(3) 1 paka huaa kela aag ki loi par garam karen aur fir usko chhel kar pisi hui kali mirch chhidak kar khalen rahat milegi
(4) 2 tea spoon adrak ka ras shehad ke saath istemaal karne se bhi damah ke mareez ko sukoon milta hai insha allah taala
Hi readers yeh post seene ki jalan ka ilaj aapko kaisi lagi apne qimti mashware se hamen khabar karen aapki ray hamen aur isse behtar likhne ki himmat degi insha allah please share this post to all your friends thanks again for reading complet 

Post a Comment

[blogger]

MKRdezign

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget