Teb-e-nabvi is a Islamic Blog. in which we show you all the treatments with the Quran or Hadis-e-nabvi, all our videos related to Islam and wazaif .We show you daily basis videos or Wazaif from Quran Shareef . The wazaif dose not require the any type of permission.

Dhoop se Kali Hone Wali Skin ka Desi Ilaj | Treatment of Black Skin in Urdu | How to Care of skin |


Skin Ko Dhoop Me Kali Hone Se Kaise Bachaye


Skin ki care karna bahut jarur hai aur usse bhi jaruri hai skin ko suntan se bacchana. Sunrays skin ka glow churane me mahir hoti hai aur uneven tone deti hai. Agar aapne dhyan diya ho doston, to jo skin cover nhi rehti jaise arms, face and hands vo sun contact me aane ke baad baki skin se dark ho jaati hai. Aur isse skin ko bachana bahut jaruri ha nhi to bhaut bekar lagti hai ye. Garmiyon me to chubti dhup jaise skin ka rang udane ko tyar hi rehti hai. Abhi sahi time hai doston, abhi se apni skin ki care akrna start kar de. Taki summers me even tone aur healthy skin enjoy kar sakte. Aur issi baat ko dhyan me rakh kar hum share karne ja rhe hai kuch tips ‘Skin Ko Dhoop Me Kali Hone Se Kaise Bachaye‘ ke bare me. to chaliye badhte hai tario ki taraf..
Simple-Home-Remedies-For-Sun-Tanned-Skin Skin Ko Dhoop Me Kali Hone Se Kaise Bachaye tips homemade natural tarike

Skin Ko Dhoop Me Kali Hone Se Kaise Bachaye 

Agar aap apni skin ka abhi se dhyan nhi rakhenge to summers ke end tak na jane kitne naye rang aapko dekhne padenge. Skin dark to hogi hi aur sath hi sath uneven skin bhi ho jaegi.. Isse bachne ke liye abhi se care karna sart kar de. Hum kuch tips bata rhe hai…
  • Gram flour ( Besan) aur Yogurt ( Dahi)

Besan aur dahi skin ke bahut acche mane jaate hai aur inka result bhi bahut effective hota hai specially dead skin aur suntan remove karne ke liye. Dahi me calcium, magnesium aur baki nutrients hote hai jo humari bones ko strong bante hai aur skin ko exfoliate karte hai aur dead skin remove karte hai. Aur sath me skin ko moisturize bhi karke rakhte hai. Besan use karne se scrubbing ka kaam ho jaate hai aur ye instant glow lane ke liye bahut effective mana jaata hai. In dono ko mix karke aap scrubbing bhi kar sakte hai aur face-pack bhi bana sakte hai jaise aapko accha lage. Srubbing karne se suntan jaldi aur acche se remove hogi.
Use Karne Ka Tarika:
  • 1 teaspoon Besan
  • 1 teaspoon Dahi
1 teaspoon besan aur dahi ko acche se mix kar le aur iss paste se apne face aur neck par halke hatho se scrubbing kare 10 min. Agar paste aapko jyada thik lagta hai to isme thoda dahi aur mix kar le. 10 min baad isse face aur neck par 5-10 min rehne de phir wash kar le. Koshish kare isse roj sham ko karne ka, isse result aur bhi behtar aenge.

Turmeric Powder ( Haldi), Yogurt ( Dahi) & Honey ( Shahed) Face Pack

Turmeric ( Haldi) bahut purane time se skin ke liye use ki jaati ha. Turmeric use arne se rang saafhota hai, suntan remove hota hai, pimples ko aane se rokhta hai. Haldi ko anti- bacterial agent ke name se bhi jaane jaata hai. Jab bhi kabhi cut lag jaaye ya skin burn ho jaaye to sabse phle haldi hi yaad aati hai. Dahi ke faide to aap sab jaante hai ye skin ko exfoliate karta hai, suntan removekatrta hai aur fresh look deta hai. Honey ( Shahed) jo ki ek natural moisturizer ke name se jana jaata hai, skin ke liye bahut effective sabit hua hai. Shahed skin ko tight karke rakhta hai jisse skin loose nhi hoti aur jhuriya jaldi se face par nhi aati.
Use Karne Ka Tarika
  • 1 pinch (chutki) haldi
  • 1 teaspoon Dahi
  • 1 teaspoon Honey
Inko achhe se mix kare aur thoda sa thick paste bana le. Iss paste ko face aur neck par laga le 20 min. Phir halke garam pani se wash kar le aur gulabjal laga le.

Sandal Wood ( Chandan) & Rosewater ( Gulabjal)

Sandalwood ( Chandan ki lakdi) ko jaana hi fair skin ( rang gora) karne ke liye jata hai. Sandalwood ko pimple treatment aur aging treatment me bhi use hota hai. Gulabjal use karne se skin fresh lagti hai aur skin par oil nhi aata. Gulabjal skin ko clean aur tone karne me bahut effective hai.
Use Karne Ka Tarika
  • 1 teaspoon sandalwood powder ( Chandan powder)
  • 2-3 teaspoon Rosewater ( Gulabjal)
1 teaspoon sandalwood aur 2-3 teaspoon rosewater ko mix kare. Iss paste ko 15 min face par rehne de. Face par thoda khichaw mehsus ho sakta hai. 15 min par hath gile karke face par circular motion me thoda sa massage kare aur orehead, chin par bhi 2-3 min phir wash kar le.

Lemon ( Nimbu) & Aloe Veera

Lemon ( nimbu) ek natural bleach agent hai jo suntan remove karta hai dead skin ko hata kar, phirse skin me jaan daal deta ha. Lemon ka use kafi facewash me bhi hota hai ar facials, face pack me bhi. Lemon ka use skin aur hair dono products me hota hai. Kyuki isme nutrients bahut hote hai. Lemon me Vitamin C hota hai, agar aap roj 2-3 glass nimbu pani pite hai to aapki skin naturaly glow karegi agar aap lemon juice pi nhi sakte to face par laga lo 5 min skin me jaan aajegi. Aloe Veera jo jana hi ek ski agent ke nam se jaata hai. Aloe Veera oily skin peoples ke liye ek vardan hai ye mostly sari skin problems se fight karta hai, pimples, bhackheads, suntan, dead skin, smooth skin etc. Isliye ye kafi skin aur hair products me bhi use hota hai. Aloe veera me six antiseptics hote hai jo har tarah ke bacteria, fungi aur viruses se skin ko bachha ke rakhta hai.
Use Karne Ke Tarike
  • 1 teaspoon Aloe Veera
  • half lemon juice
1 teaspoon Aloe Veera gel aur half lemon juice ko acche se mix karle. Iss pack ko face, neck aur arms par 15-20 laga le. Phir wash kar le. 1st time users ko thodi itching ho sakti hai, lekin jayda hone par aap isse turant wash kar le. Check karne ke liye ki kya ye suit karega ya nhi, aap iss paste ko phle apne hand ( hath) par tery kare.

Raw Milk ( Kachha Dhudh)

Raw milk ( kachha dhudh) skin ko clean karke skin ko ander se saaf karta hai. Raw milk se chote babies ko nahalaya jaata hai taki unki skin jayda time tak baby soft bani rahe. Raw milk skin ko suntan se protect aur cure dono karta hai aur sath me dead cells remove karta hai.
Use Karne Ka Tarika
  • Raw Milk ko rooj raat ko face aur neck par laga kar so jaye. Aap 1 week me hi apni skin me diference dekh paege.
  • Raw Milk ko nahane se 10 min phle face, neck aur arms par laga le. Phir naha ke gulabjal laga le.

Sunscreen

Bahar dhup me jaane se phele hamesha sunscreen ka use kare. Sunscreen vahi le jisme kam se kam 15 SPF ho. Kyuki 15 SPF normal haiagar aap isse kam SPF ka use arte hai to vo dirf dil ko tasali dene vali baat hai aur pase waste karne ki. To jab bhi sunscreen but kare to usme SPF jarur check kare.

Post a Comment

[blogger]

MKRdezign

Author Name

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget